Jo hai gustakh-e-Mustafa us ko, main ne dil se nikaal rakha hai
Kis qadar bakhtwar hai woh momin, jis ke paas un ka baal rakha hai
Muflisi ka main kyun karun shikwa, ne'maton se nihaal rakha hai
Maal ki hirs mat karo is mein, do jahan ka wabaal rakha hai
Yeh karam hi to un ka hai Attar,
Tujh nikam'me ko paal rakha hai
Mubarak ho Habib-e-Rabb-e-Akbar aane wale hain
Mubarak! Anbiya ka aaj afsar aane wale hain
Andheron mein bhatakte phirne walon ko mubarak ho
Tumhein haq se milane aaj rehbar aane wale hain
Mubarak bad-naseebon ko mubarak ho ghareebon ko
Jahan mein be-bason ka saya gastar aane wale hain
Gunahgaro na ghabrao na karo gham khao
Sunno muzdah! Shafi-e-roz-e-mahshar aane wale hain
Liye parcham utar aaye hain Jibreel aasman se aaj
Jahan mein aaj Maula ka payambar aane wale hain
Karo ghar ghar charaghan sabz parcham aaj lehrao
Machao Marhaba ki dhoom sarwar aane wale hain
Agar na aaj jhoomo ge to kab jhoomo ge diwano!
Machal jao tumhara aaj yaawar aane wale hain
Tarawat kyun na hasil ho mere qalb-o-jigar ko aaj
Jahan mein Bahr-e-Rehmat ka shanawar aane wale hain
Dil-e-ghamgeen ko mil jaye ga saman-e-rahat ka
Suroor-e-dil, qarar-e-jaan-e-muztar aane wale hain
Jo hai sardar, aalam ke sabhi sajda guzaron ka
Khuda ka aaj woh saccha sanagar aane wale hain
Mubarak gham ke maro! gham galat ho jayen ge saare
Habib-e-Haq mudawa-e-gham aa le kar aane wale hain
Jahan mein zulmaton ka chaak hoga aaj se seena
Khuda ke fazl se Mah-e-munawwar aane wale hain
Bi-hamd-e-Allah imaan ab tu mera le nahi sakta
Are chal bhaag shaitaan mera yaawar aane wala hai
Khabar hai abr-e-rehmat aaj kyun duniya pe chhaaye hain
Jahan mein rehmaton ka aaj paikar aane wala hai
Mubarak ho Haleema Sa'diya tujh ko mubarak ho
Teri godi mein kul aalam ka sarwar aane wala hai
Utho ta'zeem ki khatir ke ghar mein Aamina ke ab
Wiladat ka woh lamha kaif-awar aane wala hai
Uthao sabz parcham aur chalo sab Aamina ke ghar
Lutaane rehmatein Haq ka Paighambar aane wala hai
Tasalli to rakho sairab bhi ho jaoge Attar
Chhalakta jaam le kar Shah-e-Kauthar aane wala hai