Mujh ko Aaqa Madine bulana, sabz gumbad ka jalwa dikhana
Mujh ko Aaqa Madine bulana, sabz gumbad ka jalwa dikhana
Tum naqab apne rukh se uthana apne qadmon se mujh ko lagana
Aaana aana mere sarwar-e-aana, aakar aankhon mein meri samana
Mujh ko ulfat ka saghar pilana, mera seena Madina banana
Ab ghadi haye! Rukhsat ki aayi, Mah-e-Ramzan se hogi judai
Deed ab gham-e-Madine ka deedo mujh ko eidi mein Shah-e-zamana
Wasita laadli Fatima ka, wasita Ghous-o-Ahmad Raza ka
Wasita mere Murshid Zia ka, mujh ko deewana apna banana
Go gunahgar bhi hoon to tera agarche badkar bhi hoon to tera
Main siyah kar bhi hoon to tera bahr-e-khak-e-Madina nibhana
Rukhsat ab Mah-e-Ramzan ki hai eid Ya Mustafa aa gayi hai
Gham-e-Madine ka eidi mein deedo apne Ghous-e-Shah-e-zamana