Mujh ko dunya ki daulat na zar chahiye, Shah-e-Kausar ki meethi nazar chahiye
Hath uthte hi bar aaye har mudda, woh duaon mein Maula asar chahiye
Ashiqan-e-Nabi ke hai dil ki sada, sabz gumbad ke saaye mein ghar chahiye
Zauq barhta rahe ashk behte rahein, muztarib qalb aur chashm-e-tar chahiye
Raat din ishq mein tere tarpa karoon, Ya Nabi! aisa soz-e-jigar chahiye
Ya Khuda jism se jaan jab ho juda, jalwa-e-Shah pesh-e-nazar chahiye
Bas madine mein do gaz zameen dijiye, aur na kuch aye Shah-e-Bahr-o-Bar chahiye
Hum gareebon ko rozay pe bulwaiye, rah-e-Taiba ka zaad-e-safar chahiye
Apne Attar par ho karam baar baar, izn-e-Taiba ka baar-e-digar chahiye