Mujhay bakhsh de be-sabab ya Ilahi na karna kabhi bhi ghazab ya Ilahi
Gunahon ne haye kahein ka na chhora mein kab tak phiroon khwar ab ya Ilahi
Paye Shah-e-Batha buri chhoot jayein buri aadatein sab ki sab ya Ilahi
Bara hajj pe aanay ko ji chahta hai bulawa ab aayega kab ya Ilahi
Main makkah mein aaon Madinay mein aaon bana koi aisa sabab ya Ilahi
Main dekhoon Madinay ka gulshan dikhaday tu dasht o jabal Arab ya Ilahi
Karam aisa kar de Madinay mein aakar guzaron mein phir roz o shab ya Ilahi
Dikha de bahar-e-Madina dikha de paye Tajdar-e-Arab ya Ilahi
Saliqa shuari ka mein hoon bhikari mitay huay shor o shaghab ya Ilahi
Milay beqarari karoon aah o zari teray khauf se pyaray Rab ya Ilahi
Karoon aalimon ki kabhi bhi na toheen, bana de mujhe ba-adab Ya Ilahi
Hussain Ibn-e-Haider ke sadqay mein Maula, talain aaftain meri sab Ya Ilahi
Zamanay ki fikron se aazaad kar de, mita gham ata kar tarab Ya Ilahi
Jo manga woh de mujh ko woh bhi ata kar, nahin kar saka jo talab Ya Ilahi
Musalman musalman ke khoon ka pyasa, huwa waqt aaya ajab Ya Ilahi
Sabhi ek ho jayen imaan walay, banay Shah-e-Aali nasab Ya Ilahi
Kabhi to mujhe khwab mein mere Maula, ho deedar-e-Maah-e-Arab Ya Ilahi
Khudaya buray khatmay se bacha le, gunahgar hai jaan-ba-lab Ya Ilahi
Nazar mein Muhammad ke jalway basay hon, chaloon is jahan se main jab Ya Ilahi
Pas-e-marg ho roz-e-roshan ki manind, meri qabr ki teera shab Ya Ilahi
Gunahon se Attar ko de maafi
Karam kar, na karna ghazab Ya Ilahi