Mujhe Madine ki do ijazat, Nabi Rehmat Shafi-e-Ummat
Pilao bulwa ke jaam-e-ulfat, Nabi Rehmat Shafi-e-Ummat
Agar nahi meri aisi qismat, sada huzoori ki paun lazzat
Rulaye mujh ko tumhari furqat, Nabi Rehmat Shafi-e-Ummat
Ata ho mujh ko gham-e-Madina, tapan jigar chaak chaak seena
Barhay mohabbat ki khoob shiddat, Nabi Rehmat Shafi-e-Ummat
Lagao seenay mein aag aisi, qarar paye na dil kabhi bhi
Rulaye har dam tumhari ulfat, Nabi Rehmat Shafi-e-Ummat
Main naam par teray waari jaun, main ishq mein teray ghar lutaun
Milay woh jazba milay woh himmat, Nabi Rehmat Shafi-e-Ummat
Hussain Ibn-e-Ali ka sadqa, hamaray Ghous-e-Jali ka sadqa
Ata Madine mein ho shahadat, Nabi Rehmat Shafi-e-Ummat
Har ik Nabi har wali ka sadqa, tujhay teri har gali ka sadqa
De Taiba mein marnay ki sa'adat, Nabi Rehmat Shafi-e-Ummat
Imam Ahmed Raza ka sadqa, hamaray Murshid Zia ka sadqa
Baqi-e-Gharqad karo inayat, Nabi-e-Rehmat Shafee-e-Ummat
Waseela Khulafa-e-Rashideen ka, tamam as-haab-o-tabieen ka
Jawar-e-Jannat mein ho inayat, Nabi-e-Rehmat Shafee-e-Ummat
Mujhe tum aisi do himmat Aaqa, doon sab ko neki ki dawat Aaqa
Banado mujh ko bhi naik khaslat, Nabi-e-Rehmat Shafee-e-Ummat
Qaleel rozi pe do qana'at, fuzool goi se dedo nafrat
Durood parhta rahoon bakasrat, Nabi-e-Rehmat Shafee-e-Ummat
Gunah ke daldal se ab nikalo, mujhe sambhalo mujhe bachalo
Kahin na ho jaoon tabah-o-gharat, Nabi-e-Rehmat Shafee-e-Ummat
Banado sabr-o-raza ka paikar, banoon khush-akhlaq aisa sarwar
Rahe sada narm hi tabee'at, Nabi-e-Rehmat Shafee-e-Ummat
Na ho ata is ko maal-o-daulat, na deeje Attar ko hukoomat
Yeh tera talib hai jaan-e-rehmat, Nabi-e-Rehmat Shafee-e-Ummat