Mustafa ka woh ladla pyara wah kya baat Aala Hazrat ki
Ghaus-e-Aazam ki aankh ka tara wah kya baat Aala Hazrat ki
Sunniyon ke dilon mein jis ne thi shama-e-ishq-e-Rasool roshan ki
Woh Habib-e-Khuda ka deewana wah kya baat Aala Hazrat ki
Allah Allah tabahur-e-ilmi ab bhi baqi hai khidmat-e-qalmi
Ahl-e-Sunnat ka hai jo sarmaya wah kya baat Aala Hazrat ki
Ilm-o-irfan ka jo sagar tha khair se hafiza qawi tar tha
Haq pe mabni tha jis ka har fatwa wah kya baat Aala Hazrat ki
Is ki hasti mein tha amal-e-jauhar sunnat-e-Mustafa ka woh paikar
Aalim-e-deen, sahib-e-taqwa wah kya baat Aala Hazrat ki
Jis ne dekha unhein aqeedat se qalb ki aankh se mohabbat se
Marhaba marhaba pukar utha wah kya baat Aala Hazrat ki
Sunnaton ko chaladiya jis ne deen ka danka bajadiya jis ne
Madina
Woh mujaddid hai deen-o-millat ka wah kya baat Aala Hazrat ki
Jo hai Allah ka wali be-shak Ashiq-e-Sadiq Nabi be-shak
Ghaus-e-Aazam ka jo hai mutwala wah kya baat Aala Hazrat ki
Jis ne ehqaq-e-haq kiya khul kar radd-e-batil kiya sada khul kar
Jo kisi se kabhi na ghabraya wah kya baat Aala Hazrat ki
Sun lo kilk-e-Raza hai woh khanjar aaj bhi jis se larzan ahl-e-shar
Bol bala hai Ahl-e-Sunnat ka wah kya baat Aala Hazrat ki
Phir Bareilly Sharif jaon main barkatein murshidi ki paon mein
Karloon roze ka khoob nazara wah kya baat Aala Hazrat ki
Maula bahar-e-Hadaiq-e-Bakhshish bakhsh Attar ko bila pursish
Khuld mein kehta kehta jaye ga wah kya baat Aala Hazrat ki