Na Arsh-e-Aiman na Inni Zahib mein mehman hai
Na lutf-e-udun ya Ahmad naseeb-e-Lan Tarani hai
Naseeb dostan garan un ke dar pe maut aani hai
Khudayon hi kare phir to hamesha zindagani hai
Usi dar pe tarapte hain palakte hain
Utha jata nahin kya khoob apni natwani hai
Har ik deewar-o-dar par mehr ne ki hai jabeen saai
Nigar-e-Masjid-e-Aqdas mein kab sone ka paani hai
Tere mangta ki khamoshi shafa'at khwah hai uski
Zaban-e-be-zabani tarjuman-e-khasta jani hai
Khule kya raaz-e-mehboob-o-muhib mastan-e-ghafil par
Sharab-e-Qad ra'al Haq zeeb-e-jaam-e-man rani hai
Jahan ki khakrobi ne chaman aara kiya tujhko
Saba humne bhi un galiyon ki kuch din khak chhani hai
Sha'ha kya zaat teri Haq numa hai fard-e-imkan mein
Ke tujhse koi awwal hai na tera koi sani hai
Kahan usko shak-e-jaan-e-jinan mein zar ki naqqashi
Iram ke tair-e-rang-e-pareeda ki nishani hai
Ziyab fi siyab lab pe kalma dil mein gustakhi
Salam-e-Islam-e-mulhid ko ke tasleem-e-zabani hai
Yeh aksar saath unke shana-o-miswak ka rehna
Batata hai ke dil reshon pe zahid meherbani hai
Isi sarkar se dunya-o-deen milte hain sail ko
Yehi darbar-e-aali kanz-e-aamal-o-amani hai
Daroodin surat-e-hala muheet-e-maah-e-taiba hain
Barasta ummat-e-aasi pe ab rehmat ka pani hai
Ta'ala Allah istighna tere dar ke gadaon ka
Ke unko aarez-o-shaukat sahib-e-qurani hai
Woh sargarm-e-shafa'at hain araq afshan hai peshani
Karam ka atar-e-sandal ki zameen rehmat ki ghani hai
Yeh sar hua aur woh khak-e-dar woh khak-e-dar hua aur yeh sar
Raza woh agar chahein toh ab dil mein yeh thani hai