Na cheero zikr-e-jannat ab Madina yaad aaya hai
Nabi ka sabz gumbad dil ki aankhon mein samaya hai
Mila karti hain munh mangi muradein tere roze par
Ghulamon ne tere dar se jo manga hai woh paya hai
Nazar aata hai ooncha aasmanon se tera gumbad
Buland arsh-e-muazzam se teri turbat ka paya hai
Na hota tu agar to in-o-aan kuch bhi na hota
Tere baa'is yeh sara baagh-e-aalam lehlahaya hai
Khuda ki saltanat ke tum ho dulha Ya Rasool Allah
Tumhare vaste Rab ne yeh sab aalam sajaya hai
Shab-e-Isra mubarak thi yeh hoor-o-ghilman mein
Muhammad ko Khuda-e-Pak ne dulha banaya hai
Tu hai aaina-e-wahdat koi kab misl hai tera
Tu hai saya Khuda ka do jahan par tera saya hai