Na ho mayoos deewano jao tum un ko
Bulayen ge tumhein bhi ek din Sarwar-e-Madine mein
Bulalo hum gareebon ko bula lo Ya Rasoolallah
Paye Shabbir-o-Shabbar Fatima Haider Madine mein
Khudaya wasta deta hoon mere Ghaus-e-Azam ka
Dikha de sabz gumbad ka haseen manzar Madine mein
Wasila tujh ko Abu Bakr-o-Umar, Usman-o-Haider ka
Ilahi tu ata kar de hamein bhi ghar Madine mein
Madine jab mein pohanchun kaash aisa kaif tari ho
Ke rote rote gir jaaun mein ghash kha kar Madine mein
Niqab-e-rukh ulat jaye tera jalwa nazar aaye
Jab aaye kaash! tera sail be-par Madine mein
Jo teri deed ho jaye to meri eid ho jaye
Gham apna de mujhe eidi mein bulwa kar Madine mein
Madine joon hi pohancha ashk jaari ho gaye mere
Dam-e-rukhsat bhi roya hichkiyan bhar kar Madine mein
Madine ki judai ashiqon par shaq hoti hai
Woh rote hain tarap kar hichkiyan bhar kar Madine mein
Kahein bhi soz hai duniya ke gulzaron mein baghon mein?
Faza pur-kaif hai lo dekh lo aa kar Madine mein
Wahan ik saans mil jaye yehi hai zeest ka hasil
Woh qismat ka dhani hai jo gaya dam bhar Madine mein
Madina Jannat-ul-Firdous se bhi aula-o-aala
Rasool-e-Pak ka hai Roza-e-Anwar Madine mein
Chalo chaukhat pe un ki rakh ke sar qurban ho jayen
Hayat-e-jawdani payen ge markaz Madine mein
Madina mera seena ho mera seena Madina ho
Madina dil ke andar ho dil-e-muztar Madine mein
Mujhe neki ki dawat ke liye rakho jahan bhi kaash!
Main khwabon mein pahunchta hi rahoon aksar Madine mein
Na daulat de na sarwat de mujhe bas ye sa'adat de
Tere qadmon mein mar jaaun main ro ro kar Madine mein
Ata kar do ata kar do Baqi-e-Pak mein madfan
Meri ban jaaye turbat ya Shahe-Kausar Madine mein
Madina is liye Attar jaan-o-dil se hai pyara
Ke rehte hain mere Aaqa mere Sarwar Madine mein