Naam lewa tera kucha se tere shaad aaya
Kab tere dar se koi loot ke be-daad aaya
Le gaya dil ki muradon se woh bhar kar daaman
Jo tere roza pe karta hua fariyaad aaya
Tere rozay ko na kyun qibla-e-hajaat kahoon
Loot kar shaad gaya jo koi na-shaad aaya
Naam ne tere har ik gham se bachaya hum ko
Ranj sab bhool gaye toh hamein jab yaad aaya
Jab ghulamon ne museebat mein tujhe yaad kiya
Aan ki aan mein toh bar-sar-e-imdaad aaya
Tujh pe qurban mein ae aaina-e-zaat-e-Khuda
Ik nazar dekh liya tujh ko Khuda yaad aaya
Kab woh din hoga ki yeh ahbaab kahein
Ae Jameel-e-Razvi dekh toh Baghdad aaya