Home/Muhammad Ilyas Attar Qadri/Naatiya Shayari Karna Kaisa?

Naatiya Shayari Karna Kaisa?

Written by Muhammad Ilyas Attar Qadri

100%
Sawal: Naatiya shayari karna kaisa hai? Jawab: Sunnat-e-Sahaba Alaihimur-Rizwan hai yani baaz Sahaba maslan Hassan bin Thabit Radi Allahu Ta'ala Anhu aur Hazrat Syedna Zaid Radi Allahu Ta'ala Anhu waghaira ma se naatiya ashaar likhna sabit hai. Taham ye zehan mein rahe ke Naat-e-Sharif likhna nihayat mushkil fan hai, is ke liye mahir-e-fan aalim-e-deen hona chahiye, warna aalim na hone ki soorat mein radeef, qafiya aur bahr (yani sher ka wazan) waghaira ko nibhane ke liye khilaf-e-shaan alfaaz tarteeb pa jane ka khadsha rehta hai. Awaam-un-Naas ko shayari ka shauq charana munasib nahi ke nasr ke muqable mein nazm mein kufriyat ke sadoor ka zyada andesha rehta hai. Agar shar'i aghlaat se kalam mehfooz reh bhi gaya to "fuzooliyaat" se bachne ka zehan bohat kam logon ka hota hai. Ji haan aaj kal jis tarah aam guftagu mein fazool alfaaz ki bharmar payi jati hai isi tarah "bayan" aur "naatiya kalam" mein bhi hota hai. (Kufriya kalmaat ke bare mein sawal s 232 Maktaba-tul-Madina)