Ae kareem ibn-e-kareem ae rehnuma ae muqtada
Akhtar-e-burj-e-sakhawat gohar-e-durj-e-ata
Aastanay par teray hazir hai yeh tera gada
Laaj rakh le dast o daman ki meray behr-e-khuda
Rooye rehmat bar matab ae kaam-e-jaan az rooye man
Hurmat-e-rooh-e-payambar yak nazar kun sooye man
Shah-e-aqleem-e-wilayat sarwar-e-geewan janab
Hai tumharay aastanay ki zameen gardoon qibab
Hasrat-e-dil ki kashakash se hain lakhon iztirab
Iltija maqbool kijay apnay sail ki shitab
Rooye rehmat bar matab ae kaam-e-jaan az rooye man
Hurmat-e-rooh-e-payambar yak nazar kun sooye man
Salik-e-rah-e-Khuda ko rehnuma hai teri zaat
Maslak-e-irfan-e-haq mein peshwa hai teri zaat
Be-nawayan-e-jahan ka aasra hai teri zaat
Tishna kamon ke liye bahr-e-ata hai teri zaat
Rooye rehmat bar-matab ae mahe jaan az rooye man
Hurmat-e-rooh-e-paighambar yak nazar kun sooye man
Har taraf se fauj-e-gham ki hai charhai alghiyas
Karti hai pamal ye be-dast-o-pai alghiyas
Phir gayi hai shakl-e-qismat sab khudai alghiyas
Ae mere faryad-ras teri duhai alghiyas
Rooye rehmat bar-matab ae mahe jaan az rooye man
Hurmat-e-rooh-e-paighambar yak nazar kun sooye man
Nafs-e-amara ke phande mein phansa hoon al-iyaz
Dar tera bekas panah kucha tera aalam-e-malaz
Reham farma ya malazi lutf farma ya maaz
Hazir dar hai ghulam-e-astan behr-e-nawaz
Rooye rehmat bar-matab ae mahe jaan az rooye man
Hurmat-e-rooh-e-paighambar yak nazar kun sooye man
Shehr-e-yara ae zi-waqar ae baagh-e-aalam ki bahar
Bahr-e-ehsan rash-ha-e-neesan jood-e-kirdagar
Hoon khizan gham ke hathon pamali se do-char
Arz karta hoon tere dar par ba-chashm-e-ashk-bar
Rooye rehmat bar-matab ae mahe jaan az rooye man
Hurmat-e-rooh-e-paighambar yak nazar kun sooye man
Bar sar-e-parkhash hai mujh se adu-e-be-tameez
Raat din hai dar-paye qalb-e-hazein nafs-e-rajeez
Mubtala hai sau balaon mein meri jaan-e-aziz
Hall-e-mushkil aap ke aage nahin dushwar cheez
Rooye rehmat bar-matab ae mahe jaan az rooye man
Hurmat-e-rooh-e-paighambar yak nazar kun sooye man
Ek jahan sairab faiz-e-abr hai ab ki baras
Tarnawa hain bulbulen parta hai gosh-e-gul mein ras
Hai yahan kasht-e-tamanna khushk o zindan-e-qafas
Ae sahab-e-rehmat-e-haq sookhe dhanon par baras
Rooye rehmat bar-matab ae mahe jaan az rooye man
Hurmat-e-rooh-e-paighambar yak nazar kun sooye man
Fasl-e-gul aayi aroosan-e-chaman hain sabza posh
Shadmani ka nawasanjan-e-gulshan mein hai josh
Jo-banon par aa gaya husn-e-bahar-e-gul farosh
Haaye ye rang aur mein yun daam mein gum-karda hosh
Rooye rehmat bar-matab ae mahe jaan az rooye man
Hurmat-e-rooh-e-paighambar yak nazar kun sooye man
Munkashif kis par nahin shaan-e-mualla ka urooj
Aftab-e-haq numa ho tum ko hai zeba urooj
Main haziz-e-gham mein hoon imdad ho shaha urooj
Har taraqqi par taraqqi ho barhe duna urooj
Rooye rehmat bar-matab ae mahe jaan az rooye man
Hurmat-e-rooh-e-paighambar yak nazar kun sooye man
Taib ho pamal-e-lashkar-e-afkar-e-rooh
Ta-ba-ke tarsan rahe be-munis o ghamkhar-e-rooh
Ho chali hai kawish-e-gham se nihayat zaar-e-rooh
Talib-e-imdad hai har waqt ae dildar-e-rooh
Rooye rehmat bar-matab ae mahe jaan az rooye man
Hurmat-e-rooh-e-paighambar yak nazar kun sooye man
Dabdaba mein hai falak shaukat tera ae mah-e-kaakh
Dekte hain topiyan thame gada o shah-e-kaakh
Qasr-e-jannat se fuzoon rakhta hai izz-o-jah-e-kaakh
Ab dikha de deedah-e-mushtaq ko lillah kaakh
Rooye rehmat bar-matab ae mahe jaan az rooye man
Hurmat-e-rooh-e-paighambar yak nazar kun sooye man
Badliyan chhayin hawa badli huye shadab bagh
Ghunche chatke phool mehke bas gaya dil ka dimagh
Aah ae jor-e-qafas dil hai ke mehroomi ka dagh
Wah ae lutf-e-saba gul hai tamanna ka charagh
Rooye rahmat bar-matab ae kaam-e-jaan azroo-e-man
Hurmat-e-rooh-e-payambar yak nazar kun soo-e-man
Aasaan hai qaus-e-fikr mein teer-e-mera dil hadaf
Nafs-o-shaitan har ghadi kaf par lab-o-khanjar bakaf
Muntazir hoon main ke ab aayi sada-e-la takhaf
Sarwar-e-deen ka tasadduq bahr-e-sultan-e-najaf
Rooye rahmat bar-matab ae kaam-e-jaan azroo-e-man
Hurmat-e-rooh-e-payambar yak nazar kun soo-e-man
Barh chala hai aaj kal ahbab mein josh-e-nifaq
Khush mazagan-e-zamana ho chale hain bad-mazaq
Saikdon pardon mein posheeda hai husn-e-ittifaq
Bar-sar-e-paikar hain aage jo the ahl-e-wafa
Rooye rahmat bar-matab ae kaam-e-jaan azroo-e-man
Hurmat-e-rooh-e-payambar yak nazar kun soo-e-man
Dar darindon ka andheri raat sehra holnaak
Rah-e-na maloom ra'sha paon mein laakhon maghaak
Dekh kar abr-e-siyah ko dil hua jata hai chaak
Aaiye imdad ko warna hota hoon halaak
Rooye rahmat bar-matab ae kaam-e-jaan azroo-e-man
Hurmat-e-rooh-e-payambar yak nazar kun soo-e-man