Najdiya sakht hi gandi hai tabiyat teri
Kufr kya shirk ka fazla hai najaasat teri
Khaak munh mein teray kehta hai kisay khaak ka dhair
Mit gaya deen mili khaak mein izzat teri
Teray nazdeek hua kizb-e-Ilahi mumkin
Tujh pay Shaitan ki phutkaar yeh himmat teri
Balkeh gannab kya tu nay iqraar-e-wuqo
Uff ray naapaak yahan tak hai khabaasat teri
Ilm-e-Shaitan ka hua ilm-e-Nabi say zaid
Parhoon lahaul na kyon dekh kay surat teri
Bazm-e-Milad ho kaana lay kay janam say badtar
Array andhay array mardood yeh jurrat teri
Ilm-e-Ghaibi mein majaneen-o-bahaaim ka shammool
Kufr-amez junoon-za hai jahaalat teri
Yaad-e-khar say ho namazon mein khayal un ka bura
Uff Jahannam kay gadhay uff yeh khuraafaat teri
Un ki ta'zeem karay na agar waqt-e-namaz
Maari jaye gi teray munh pay ibaadat teri
Hai kabhi boom ki jillat to kabhi zaagh-e-halaal
Jeefa khwari ki kahin jaati hai aadat teri
Bas ki chaal to kya aati gayi apni bhi
Ijtihaadon hi say zahir hai hamaqat teri
Khullay lafzon mein kahay Qazi Shoukan madad day
Ya Ali sun kay bigar jaye tabiyat teri
Teri atkay to wakeelon say karay istimdaad
Aur tabeebon say madad khwah ho illat teri
Hashr ka din nahi jis roz kisi ka koi
Is qayamat mein jo farmayein shafa'at teri
Un ke dushman se tujhe rab rahe mel rahe
Sharm Allah se kar kya hui ghairat teri
Tu ne kya baap ko samjha hai zyada un se
Josh mein aayi jo us darja hararat teri
Un ke dushman ko agar tu ne na samjha dushman
Woh qayamat mein karenge na rafaqat teri
Un ke dushman ka jo dushman nahi sach kehta hoon
Da'wa be-asal hai jhooti hai mohabbat teri
Balkeh imaan ki puche to hai imaan yehi
Un se ishq un ke adu se ho adawat teri
Ahle-Sunnat ka amal teri ghazal par ho Hasan
Jab mein janun keh thikane lagi mehnat teri