Naqab apne rukh se utha Ghouse-e-Azam mujhe apna jalwa dikha Ghouse-e-Azam
Mujhe aisa sheyda bana Ghouse-e-Azam ke ho jaun tujh par fida Ghouse-e-Azam
Maray peer-e-roshan zameer aap ko to maray haal ka hai pata Ghouse-e-Azam
Tumhare hain jitnay mureed un sabhi mein bura hun, bana do bhala Ghouse-e-Azam
Baroz-e-qayamat hamen apne jhanday talay dijiye ga jagah Ghouse-e-Azam
Jo bimariyon mein gheray hain unhen tum dila do Khuda se shifa Ghouse-e-Azam
Murideen ko jo satatay hain jinnat khudara unhen do bhaga Ghouse-e-Azam
Nazar se ya jadoo se jo hain pareshan ho un par bhi chashm-e-ata Ghouse-e-Azam
Kaleja shayateen ka tharra uthay ga pukaro sabhi mil ke ya Ghouse-e-Azam
Sajayen amama barhayen jo darhi unhen hashr mein bakhshwa Ghouse-e-Azam
Woh behnen jo pehnen sada Madani burqa unhen hashr mein bakhshwa Ghouse-e-Azam
Jo hain waqf-e-Sunnat ki khatir unhen hashr mein bakhshwa Ghouse-e-Azam
Jo rozana detay hain neki ki dawat unhen hashr mein bakhshwa Ghouse-e-Azam
Safar qafilay mein jo kartay hain har maah unhen hashr mein bakhshwa Ghouse-e-Azam
Jo den rah-e-Maula mein barah meenay unhen hashr mein bakhshwa Ghouse-e-Azam
Jo apnatay hain Madani inaam aksar unhen hashr mein bakhshwa Ghouse-e-Azam
Dam-e-naz'a pani utarta nahi hai pila sharbat-e-deed ya Ghouse-e-Azam
Hai Attar ko salb-e-imaan ka dar ka bacha is ka imaan bacha Ghouse-e-Azam