Mubarak Fazal bhai ko ajab hi noor chhaya hai
Shab-e-Isra ke dulha ne unhein dulha banaya hai
Jagaya tum ne sunnat ko mitaya tum ne bid'at ko
Lehaza sau shaheedon ka sawab-o-ajar paya hai
Kya naraz sab ko aur raazi kar liya Rab ko
Gharz ke is tijaarat mein nafa kaafi kamaya hai
Rasool-e-Allah tum se khush hain aur Allah bhi raazi
Amal se tum ne ummat ko sabaq achha parhaya hai
Yeh shaadi khaana aabadi mubarak ho mubarak ho
Ke is shaadi mein Hazrat Fatima Zahra ka saaya hai
Woh aage naat khwani aur durood-e-paak ki kasrat
Khuda-o-Mustafa ke zikr se shaitan bhagaya hai
Yeh aawazein yaqeenan sabz gumbad mein bhi pahunchi hain
Ahadis-e-Nabi ne hum ko ye muzda sunaya hai
Jahez-e-mukhtasar se Fatima ki yaad taaza ki
Valima ki ziyaafat mein ajab hi lutf aaya hai
Dua Saalik ki yeh hai fazl par fazl-e-ilahi ho
Rahe yeh dars qaim jis se sab ne faiz paaya hai