Home/Muhammad Ilyas Attar Qadri/Noor Wala Aaya Hai Hoor Le Kar Aaya Hai

Noor Wala Aaya Hai Hoor Le Kar Aaya Hai

Written by Muhammad Ilyas Attar Qadri

100%
Noor wala aaya hai, haan noor lekar aaya hai Saare aalam mein yeh dekho noor kaisa chhaya hai Chaar jaanib roshni hai sab samaan hai noor noor Haq ne paida aaj apne pyare ko farmaya hai Aao aao noor ki khairat lene ko chalein Noor wala Aamina bibi ke ghar mein aaya hai Aage peeche dayein bayein noor hai charon taraf Aagaya hai noor wala, noor wala aaya hai Ho rahi hain chaar jaanib barishein anwar ki Chha gayi nikhat gulon par har shajar ithlaya hai Zarra zarra jagmagaya har taraf aaya nikhaar Goya saari hi faza ko noor mein nehlaya hai Noor wale ke rukh-e-roshan ki kya tareef ho Chehra-e-anwar ke aage chand bhi sharmaya hai Chhat pe Kabe ki utar kar hukm-e-Rabb-e-Pak se Hazrat-e-Jibreel ne jhanda wahan lehraya hai Chaar soo chhayi hui thin kufr ki tareekiyan Tum ne aakar noor se sansaar ko chamkaya hai Joon hi aamad maah-e-milad-e-mubarak ki hui Ahl-e-imaan jhoom uthe shetan ko ghussa aaya hai Jab andhere ghar mein aaye noor se ghar bhar gaya Gumshuda sui ko Bibi Ayesha ne paya hai Aye Khuda-e-do jahan ehsan tera hai bada Tu ne paida un ki ummat mein humein farmaya hai Noor wale hum gunahgaron ke ghar bhi roshni Aa ke kar do, noor tum ne har jagah phelaaya hai Apna jana aur hai un ka bulana hai deegar Khush naseebi un ki jin ko Shah ne bulwaya hai Mujh ko dhaaras hai ghulam-e-Syed-e-Abrar hoon Maswa palle mere kuch nahi sarmaya hai Noor wale! ab khudara muskurate aaiye Roshni ho qabr mein haye! andhera chhaya hai Sun le shetan tu daba sakta nahi Attar ko Do jahan mein is pe meethe Mustafa ka saya hai