Home/Muhammad Ilyas Attar Qadri/Phir ata kar dijiye Hajj ki sa'adat Ya Rasul

Phir ata kar dijiye Hajj ki sa'adat Ya Rasul

Written by Muhammad Ilyas Attar Qadri

100%
Phir ata kar dijiye Hajj ki sa'adat Ya Rasul Ho Madine ki ijazat bhi inayat Ya Rasul Hajj ka mausam agaya, tuj ne bandhi kamar Mere Hajj ki bhi koi ho jaye surat Ya Rasul Chal pade hain qafil'on par qafle su-e-Hijaz Main raha jata hun haye! Jaan-e-Rehmat Ya Rasul Ya Rasul Allah! Sadqa Fatima ke laal ka Dijiye mujh ko Madine ki ijazat Ya Rasul Sabz gumbad ki faza'on mein bula lo mujhe Az paye Shah-e-Imam-e-Ahl-e-Sunnat Ya Rasul Gar meri taqdeer mein doori likhi hai Ya Nabi Har ghadi mujh ko laye teri furqat Ya Rasul Sadqa Siddiq o Umar Usman o Haider ka huzoor Gham Madine ka mujhe kar do inayat Ya Rasul Dil se duniya ki mohabbat door kar ke dijiye Apni ulfat apni chahat dard-e-ruqat Ya Rasul Taj-e-sultani hai meri thokaron par Ya Nabi Tera na'al-e-pak mera taj-e-izzat Ya Rasul Toot jaye dam Madine mein Shaha! Attar ka Aur Baqi-e-Pak mein ban jaye turbat Ya Rasul