Phir Gumbad-e-Khizra ki fazaon mein bulalo
Sarkar! bula kar mujhe qadmon se lagalo
Qadmon se laga kar mujhe deewana banalo
Duniya ki mohabbat ko mere dil se nikalo
Go khwar-o-gunahgar hoon jaisa hoon tumhara
Sarkar! sambhalo mujhe Sarkar sambhalo
Sadqa mujhe Sarkar! nawason ka ata ho
Aghyar ke tukron se Shehanshah bachalo
Ya Shah-e-Madina! meri imdad ko aao
Aafaat-o-baliyat ke panjon se nikalo
Toofan ki maujon mein jahaz apna ghira hai
Sarkar! bachalo ise Sarkar! bachalo
Sarkar! mere khoon ka pyasa hua dushman
Shehzadon ka sadqa mujhe dushman se bachalo
Ujar ho hui jaati hai meri zeest ki basti
Ho jaaye gi aabad nazar lutf ki daalo
Veeran hua jaata hai khushiyon ka gulistaan
Is ujray chaman par bhi nigah lutf ki daalo
Dam tornay wala hai gunahon ka mareez ab
Ae jaan-e-maseeha! isay tum aa ke bachaalo
Marne ka sharaf ab to madinay mein ata ho
Dar dar ki mujhe thokarron se shah bachaalo
Madfan ho ata meethay madinay ki gali mein
Lillah parosi mujhe jannat mein bana lo
Khenchay liye jaatay hain jahannam ko malaik
Ae shaafi-e-mahshar paye shaikhain bachaalo
Furqat mein taraptay hain jo maskeen becharay
Asbaab ata kar ke unhein dar pe bulaalo
Mehboob-e-Khuda! sar pe ajal aa ke khari hai
Shaitan se Attar ka imaan bachaalo