Home/Muhammad Ilyas Attar Qadri/Phir Mujhe Aaqa Madine Mein Bulaya Shukriya

Phir Mujhe Aaqa Madine Mein Bulaya Shukriya

Written by Muhammad Ilyas Attar Qadri

100%
Phir mujhe Aaqa Madine mein bulaya shukriya, phir Gumbad-e-Khizra dikhaya shukriya Jis jagah aathon pahar anwar ki hain barishein, aisi noorani fazaon mein bulaya shukriya Roza-e-Anwar ke zaair tum ho Shafi, meri bakhshish ka bahana yun banaya shukriya Phir tawaf-e-Khana-e-Kaaba ka bakhsha hai sharaf, khoob Aaqa aab-e-zam zam bhi pilaya shukriya Mujh se aasi ko sharaf Hajj ka ata farma diya, kis zaban se ho ada tera khudaya shukriya Ya Ilahi! apne pyare ki wiladat-gah ka, baithe Makke mein mujhe jalwa dikhaya shukriya Bheek lene ke liye Ya Rabb Habib-e-Pak ka, astana hum ghareebon ko dikhaya shukriya Phir Madine ki haseen-o-khoobsurat wadiyon, ka haseen-o-dilkash manzar dikhaya shukriya Masjid-e-Nabwi ke mehrab aur mimbar ka Shah!, dil nawaz-o-dilkusha jalwa dikhaya shukriya Munh lagata tha kahan dunya mein koi bhi mujhe, aise nakara nikamme ko nibhaya shukriya Aah! tum roya kiye ummat ke gham mein Ya Nabi, hausla hum aasiyon ka yun barhaya shukriya Khud rahe bhooke shikam par pathar bandhe aur, pyar se tum ne hamein khana khilaya shukriya Mujh zaleel-o-khwar-e-dunya-dar ki auqat kya!, main nisar Aaqa mujhe phir bhi nibhaya shukriya Ya Rasool Allah! logon ne mujhe thukra diya, tha magar tu ne mujhe apna banaya shukriya Is qadar lutf-o-inayat apne nafarman par, apne gham mein apni ulfat mein rulaya shukriya Sunnaton ko aam karne ka mujhe jazba diya, Ahl-e-Sunnat ka mujhe khadim banaya shukriya. Shukriya kyonkar shaha tere karam ka ho ada, mujh se aasi ko ghulam apna banaya shukriya. Meri izzat Ahl-e-Sunnat ke dilon mein daal di, aur aada par mera sikka bithaya shukriya. Dil se jab bhi aghisni Ya Rasool Allah! kaha, aafton se aap ne us ko bachaya shukriya. Khatima bilkhair ho mera Madine mein agar, baal baal uthay pukaar apna, khudaya shukriya. Dafn kar ke jab meray ahbaab Aaqa chalay, lahad ko jalwon se aakar jagmagaya shukriya. Pyaas abhi barhne bhi payi thi na meri hashr mein, jaam-e-kausar jald rehmat se pilaya shukriya. Aib mehshar mein ghula hi chahtay thay main shumaar, dhak ke parda apnay daaman ka chupaya shukriya. Soye dozakh jab malaik mujh ko le kar chal diye, main teray sadqay mujhe aakar chhuraya shukriya. Shukriya kyonkar ada ho aap ka Ya Mustafa, hai parosi khuld mein apna banaya shukriya. Garchay shaitan har ghari imaan ki hai ghaat mein, tum ne thama, jab kabhi main dagmagaya shukriya. Daulat-e-imaan ata ki apnay daaman mein liya, kufr se hum binwaon ko bachaya shukriya. De diya Attar ko Murshid Zia-ud-Din sa, aur sag-e-Ghaus-o-Raza is ko banaya shukriya.