Qafila aaj madine ko rawana hoga
(Alhamdulillah azzawajal Zul-Hijjat-ul-Haram Sharif 1416 AH ko rawangi Madina Munawwara zadahullahu sharafan wa ta'ziman se qabl Makka Mukarrama zadahullahu sharafan wa ta'ziman mein yeh kalam tahrir karne ki sa'adat hasil hui)
Qafila aaj madine ko rawana hoga
Anqareeb apna madine mein thikana hoga
Lab pe naghmat-e-Muhammad ka tarana hoga
Jhoomte jhoomte deewana rawana hoga
Kis qadar zaair! Woh waqt suhana hoga
Rubaru jab dar-e-sultan-e-zamana hoga
Dard-o-aalam ka jab lab pe fasana hoga
Abr-e-rahmat ke barsne ka bahana hoga
Nekiyan palle madine ke musafir ke kahan!
Aansuon ka meri jholi mein khazana hoga
Itni be-tab na ho aane de Taiba ki gali
Rooh-e-muztar tujhe kuch waqt badhana hoga