Nabi aaj paida hua chahta hai
Yeh Kaaba ghar is ka hua chahta hai
Alam nasb hai jis ka Kaaba ki chhat par
Buland is ka shohra hua chahta hai
Na kyun aaj Kaaba bane rashk-e-gulshan
Woh gul jalwa farma hua chahta hai
Yeh roro ke aapas mein but keh rahe hain
Khuda jaane ab kya hua chahta hai
Teri hai samawa mein sawa mein khushki
Naya ab zamana hua chahta hai
Nida aa rahi hai ke Haq ke qamar ka
Jahan mein ujala hua chahta hai