Baroz-e-qayamat ho aisi inayat, rahoon pul pe sabit qadam Ya Ilahi
Jala de na naar-e-jahannam karam ho, paye Badshah-e-Umam Ya Ilahi
Gunahon ki aadat barhi ja rahi hai, karam Ya Ilahi karam Ya Ilahi
Gunahon ki tareekiyan chha gayi hain, karam Ya Ilahi karam Ya Ilahi
Chalay qabr mein sab akela lita kar, karam Ya Ilahi karam Ya Ilahi
Nakeerain bhi qabr mein aa chukay hain, karam Ya Ilahi karam Ya Ilahi
Qayamat ki garmi mein kaise sahoon ga, karam Ya Ilahi karam Ya Ilahi
Yahood-o-Nasara ko maghloob kar de, ho khatam un ka jor-o-sitam Ya Ilahi
Mujhe dono aalam ki khushiyan ata hon, mita de zamanay ke gham Ya Ilahi
Jo bimar aaye shifa pa ke jaye, sikha de mujhe aisa dam Ya Ilahi
Main tahrir se Deen ka danka bajadon, ata kar de aisa qalam Ya Ilahi
Tu Attar ko be-sabab baksh Maula
Karam kar karam kar karam Ya Ilahi