Qismat meri chamkaiye Aaqa! mujh ko bhi dar pe bulwaiye Aaqa
Seene mein ho Kaaba to basay dil mein Madina, aankhon mein meri Aap sama jaiye Aaqa
Be-taab hoon be-chain hoon deedar ki khatir, lillah meray khwab mein aa jaiye Aaqa
Har simt say aafaat-o-baliyaat ne ghera, majboor ki imdad ko ab aaiye Aaqa
Sakrat ka aalam hai Shaha! dam hai labon par, tashreef har bahanay meray ab laiye Aaqa
Wehshat hai andhera hai meri qabr kay andar, aa kar zara roshan usay farmaiye Aaqa
Mujrim ko liye jatay hain ab su-e-jahannam, lillah! shafa'at meri farmaiye Aaqa
Attar pe ya Shah-e-Madina ho inayat, veerana-e-dil aa kay basa jaiye Aaqa