Rang-e-chaman pasand na phoolon ki boo pasand
Sehra-e-Taiba hai dil-e-bulbul ko tu pasand
Apna azeez woh hai jise tu azeez hai
Ham ko hai woh pasand jise aaye tu pasand
Mayoos ho ke sab se main aaya hoon tere paas
Aye jaan kar le toote hue dil ko tu pasand
Hain khana zaad banda-e-ehsaan to kya ajab
Teri woh khoo hai karte hain jis ko adu pasand
Kyun na chahein teri gali mein hoon mit ke khaak
Duniya mein aaj kis ko nahin aabroo pasand
Hai khaaksar par karam-e-khaas ki nazar
Aajiz nawaz hai teri aye khoobroo pasand
Hue Aiman qadam se farsh-o-arsh-o-lamakan zinda
Khulasa ye ke Sarkar aaye hain jaan-e-jahan ho kar
Tere dast-e-ata ne daulatein dein dil kiye thande
Kahin gohar-fishan ho kar kahin aab-e-rawan ho kar
Fida ho jaye ummat is himayat is mohabbat par
Hazaron gham liye hain ek dil par shadman ho kar
Jo rakhte hain salateen shahi-e-javeed ki khwahish
Nishan qaim karein un ki gali mein be-nishan ho kar
Woh jis rah se guzarte hain basi rehti hai muddat tak
Naseeb us ghar ke jis ghar mein woh thehrein mehman ho kar
Hasan kyun paon tode baithe ho Taiba ka rasta lo
Zameen-e-Hind sargardan rakhe gi aasman ho kar