Raza par Rab ki raazi hain hum bhikari hain
Hamari aakhirat behtar bana do ya Rasool Allah
Gunahon se main tauba kar raha hoon tum shaahid
Mujhe apne Khuda se bakhshwa do ya Rasool Allah
Mujhe sakrat mein kalma parha kar meethi neend
Karam se apne qadmon mein sula do ya Rasool Allah
Tumhari yaad mein har dam tarapta hi rahoon Aqa!
Mere seene mein ishq aisa racha do ya Rasool Allah
Mujhe izn-e-Madina do tumhein sadqa nawason ka
Dikha do Gumbad-e-Khizra dikha do ya Rasool Allah
Meri tareek ratein jagmaga do az paye Shaikhain
Mujhe tum jalwa-e-zebaa dikha do ya Rasool Allah
Shaha Attar ka pyara hai ye Mushtaq Attari
Yehi murda use tum bhi suna do ya Rasool Allah
Andheri qabr mein Attar par ab khauf taari hai
Paye Qutb-e-Madina jagmaga do ya Rasool Allah