Home/Imam Ahmad Raza Khan Qadri/Roshni Bakhsh Chehra

Roshni Bakhsh Chehra

Written by Imam Ahmad Raza Khan Qadri

100%
Hazrat Sayyiduna Usaid bin Abi Anas radiyallahu ta'ala anhu farmate hain: Madine ke taajdar, shehenshah-e-aali waqar sallallahu ta'ala alaihi wa-aalihi wasallam ne ek baar mere chehre aur seene par apna dast-e-pur-anwaar pher diya, is ki barkat yeh zahir hui ke main jab bhi kisi andhere ghar mein dakhil hota woh roshan ho jata. (Al-Khasa'is-ul-Kubra, J 2, S 42 wa Tareekh-e-Damishq, J 20, S 21)