Rotay hain jo deewanay be-taab hain mastanay
Un sab ko dikha deeje darbar Madine ka
Rota hai jo ummat ki mohabbat mein
Woh Shafi-e-Mehshar hai Sardar Madine ka
Raaton ko jo rota hai aur khaak pe sota hai
Gham-khwar hai, saada hai Mukhtar Madine ka
Qabzay mein do aalam hain par haath ka takiya hai
Sota hai chatai par Sardar Madine ka
Dukh dard jahan ke sab door shaha karke
Mujh ko to bana leeje beemar Madine ka
Is dar ke bhikari ki jholi mein do aalam hain
Shahon se bhi badh kar hai nadar Madine ka
Maqbool jahan bhar mein ho Dawat-e-Islami
Sadqa tujhe aye Rab-e-Ghaffar! Madine ka
Taqdeer chamak uthay qismat hi to khul jaye
Ban jaye jo adna sag, Attar Madine ka