Rusiyahon par karam ae do jahan ke Tajdar
Apne gham mein apni ulfat mein rulao zaar zaar
Husn-e-gulshan mein sarasar hai fareb ae dosto!
Dekhna hai husn to dekho Arab ke regzar
Raah bhoola aah manzil se bhatak kar reh gaya
Saath le lo ae Arab ke mehrban naqa sawar
Hum gharibon ko Madine mein bula lo Ya Nabi!
Wasita Ahmed Raza ka do jahan ke Tajdar
Gar muqaddar mein mere doori likhi hai Ya Nabi!
Kaash! Ulfat mein teri rota rahoon mein zaar zaar
Un ka deewana amama aur zulf-o-resh mein
Wah! Dekho to sahi lagta hai kitna shandar
Kaash! Khidmat sunnaton ki mein sada karta rahoon
Ahl-e-Sunnat ka sada ban ke rahoon khidmat-guzar
Hain Ali mushkil kusha saya kunan sar par mere
La fata illa Ali la saif illa Zulfiqar
Ya Shaheed-e-Karbala! Ho door har ranj-o-bala
Ab madad ko aao dasht-e-Karbala ke shah-sawar
Almadad Ya Ghous-e-Azam dasht-geer-e-be-kasan
Phans gayi hai nao toofan mein laga dein aap paar
Ya Mueenuddin! Aao ab madad ke wastay
Ho karam badhal par ae Chishtiyon ke Tajdar
Ya Imam-e-Ahmed Raza! Sadqa Ziyauddin ka
Ho karam ki ik nazar ae sunniyon ke Tajdar
Mustafa wale tere Attar dar kis baat ka
Kargar hoga na tujh par dushmanon ka koi war