Sad shukr Khudaya tu ne diya, hai rehmat wala wo Aqa
Jo ummat ke ranj-o-gham mein, rato ko ashk bahata rahe
Jab garmi-e-hashr ho zoron par, us waqt tamanna hai Sarwar!
Ham pyas ke maro ko Kausar, ke jam pe jam pilata rahe
Hai meri tamanna paye jahan, har khurd-o-kalan lehar ek jawan
Har "Dawat-e-Islami" wala, sunnat ka alam lehrata rahe
Hai tujh se dua Rab-e-Akbar! maqbool ho "Faizan-e-Sunnat"
Masjid masjid ghar ghar parh kar, Islami bhai sunata rahe
Jab mera yawar hai Sarwar, phir dar-e-mahshar ka ho kyon nakar!
Wo hashr mein ruswa kaise kare, jo aib yahan pe chupata rahe
Jab tan se juda ho jaan muztar, us waqt ho jalwa pesh-e-nazar
Ho qabr mein bhi saya gustar, tu meethi neend sulata rahe
Ya Rab! yeh dua Attar ki hai, jis waqt talak duniya mein jiye
Mehboob ki sunnat aam kare, yeh danka deen ka bajata rahe