Sahib-e-Izzat-o-Jalal Aaqa
Tu hai ba-azmat-o-kamal Aaqa
Har sifat teri la-zawal Aaqa
Ba-yaqeen tu hai be-misal Aaqa
Main hoon bad-khulq-o-bad-khisal Aaqa
Tum ho khush-khulq-o-khush-maqal Aaqa
Ranj-o-gham ne kiya nidhal Aaqa
Aaqa Aaqa mujhay sambhal Aaqa
Main hoon be-roop be-jamal Aaqa
Kuch nahi dhang aur kamal Aaqa
Teri rehmat hi say mili izzat
Khak mujh mein hai kuch kamal Aaqa
Qatl karnay adu charha aaya tha
Bach gaya hoon baal baal Aaqa
Teray hotay huay mera ab kyun
Koi be-kaar karay ga baal Aaqa
Thokarein dar-ba-dar ki kyun khaoon
Teray dam say hoon mala-maal Aaqa
Haq kay pyaray hain Aap aur pyara
Aap ka Rab-e-Zuljalal Aaqa
Sab haseenon say ba-yaqeen barh kar
Husn tera tera jamal Aaqa
Tum ne hi sar-bulandiyan bakhshein
Mujh mein kuch bhi na tha kamal Aaqa
Bad-khasail nikal kar Sarwar
Do bana mujh ko khush-khisal Aaqa
Apnay gham mein rulaiye har dam
Az paye Hazrat-e-Bilal Aaqa
Mera seena Madina ban jaye
Az paye Rab-e-Zuljalal Aaqa
Aap ne sirf apni rehmat say
Bakhshi izzat diya jalal Aaqa
Ganday ganday wasawis aatay hain
Meray dil say unhein nikal Aaqa
Yad-e-Taiba mein gum rahoon har dam
Tera har dam rahay khayal Aaqa
Ahl-e-Islam ghalib aayein aur
Kafiron ko lagay zawal Aaqa
Kaash! is saal mein Madinay mein
Dekhoon Ramadan ka hilal Aaqa
Husn-e-akhlaq aur narmi do
Door ho khu-e-ishtial Aaqa
Sabz gumbad kay saye mein mera
Kaash! ho jaye inteqal Aaqa
Larkharaye maray qadam jab bhi
Tum ne barh kar liya sambhal Aaqa
Is marz say bhi tum shifa de do
Jhartay rehtay hain meray baal Aaqa
Lab khulein gul jharein faza mehkay
Tum pe qurban main, khush-maqal Aaqa
Kaash! Attar ka ho Taiba mein
Teray jalwon mein inteqal Aaqa