Dunya mazaar-e-hashar jahan hain Ghafoor hain
Har manzil apne chand ki manzil-e-Ghafar ki hai
Un par durood jin ko hajar tak karein salaam
Un par salaam jin ko tahiyat shajar ki hai
Un par durood jin ko gas-e-besaan kahein
Un par salaam jin ko khabar be-khabar ki hai
Jin-o-bashar salaam ko hazir hain assalam
Yeh bargah-e-maalik-e-jin-o-bashar ki hai
Shams-o-qamar salaam ko hazir hain assalam
Khubi unhi ki jot se shams-o-qamar ki hai
Sab bahr-o-bar salaam ko hazir hain assalam
tamleek unhi ke naam to har bahr-o-bar ki hai
Sang-o-shajar salaam ko hazir hain assalam
Kalme se tar zaban-e-darakht-o-hajar ki hai
Arz-o-asar salaam ko hazir hain assalam
Malja yeh bargah-e-dua-o-asar ki hai
Shorida-sar salaam ko hazir hain assalam
Rahat unhi ke qadmon mein shorida-sar ki hai
Khasta-jigar salaam ko hazir hain assalam
Marham yahin ki khaak to khasta-jigar ki hai
Sab khushk-o-tar salaam ko hazir hain assalam
Yeh jalwa-gah-e-maalik-e-har khushk-o-tar ki hai
Sab gur-o-far salaam ko hazir hain assalam
Topi yahin to khaak pe har gur-o-far ki hai
Ahl-e-nazar salaam ko hazir hain assalam
Yeh gard hi to surma sab ahl-e-nazar ki hai
Aansu baha ke beh gaye kaale gunah ke dher
Haathon dubao jheel yahan chashm-e-tar ki hai
Teri Qaza Khalifa-e-Ahkaam-e-Zuljalal
Teri Raza Haleef-e-Qaza-o-Qadar ki hai
Yeh pyaari pyaari kyaari tere khana-e-baagh ki
Sard iski aab-o-taab se aatish-e-saqar ki hai
Jannat mein aa ke naar mein jaata nahin koi
Shukr-e-Khuda naveed-e-najaat-o-zafar ki hai