(Alhamdulillah 2 Ramadan-ul-Mubarak 1414 AH ko Madina Munawwara zadahullahu sharafan wa ta'ziman ki mehki mehki fizao mein pehle hi din yeh maruza pesh karne ka sharaf hasil hua)
Sarkar phir Madine mein Attar aa gaya
Phir aap ka gada shahe abrar aa gaya
Tum bakhshwa do har khata sadqa Hussain ka
Umeed-e-maghfirat pe gunahgar aa gaya
Raazi hamesha ke liye ho jaiye shaha!
Yeh daimi raza ka talabgar aa gaya
Hoti hain raat din yahan rahmat ki barishein
Bakhsha gaya jo Taiba mein badkar aa gaya
Daulat ki taj-o-takht ki Aaqa nahi talab
Tum se faqat tumhara talabgar aa gaya
Is ki balayein tal gayin gham door ho gaye
Jo koi dar pe be-kas-o-nachar aa gaya
Aqa gham-e-Madina mein be-hal kijiye
Har koi dekh kar kahe bimar aa gaya
Dil-e-beqarar do mujhe aankh ashkbar do
Yeh bheek lene dar pe Sarkar aa gaya
Soz-e-jigar ata karo seena figar do
Yeh bheek lene dar pe Sarkar aa gaya
Ae kaash! Yaad mein teri rona naseeb ho
Yeh bheek lene dar pe Sarkar aa gaya
Marz-e-gunah se mujhe dijiye shifa
Yeh bheek lene dar pe Sarkar aa gaya
Mujh ko Baqi-e-Pak mein do gaz zameen do
Yeh bheek lene dar pe Sarkar aa gaya
Hai zair-e-Madina shafa'at ka mustahiq
Yeh bheek lene dar pe Sarkar aa gaya
Asi pe kijiye karam ae Shafe-e-Umam
Attar maghfirat ka talabgar aa gaya