Home/Muhammad Ilyas Attar Qadri/Sawal: Namaz ki talqeen se mutaliq ek nazm cassette mein suni jati hai, us mein be-namazi ki muzammat mein parhe jane wale is she'r ke bare mein hukm-e-shar'i kya hai?

Sawal: Namaz ki talqeen se mutaliq ek nazm cassette mein suni jati hai, us mein be-namazi ki muzammat mein parhe jane wale is she'r ke bare mein hukm-e-shar'i kya hai?

Written by Muhammad Ilyas Attar Qadri

100%
"Jab roz-e-hashr takht pe baithe ga Kibriya" kehna kaisa? Jab roz-e-hashr takht pe baithe ga Kibriya us waqt kya kaho ge tumhein aayi gi haya Sharm-o-haya se us ghari sar ko jhukao ge jannat to kya mile gi jahannam mein jao ge Jawab: "Jab roz-e-hashr takht pe baithe ga Kibriya" ye alfaaz kufriya hain. Fuqaha-e-Kiram rahimahumullah assalam farmate hain: Jo kahe: Allah azzawajal insaaf ke liye baithaya khara ho gaya us par hukm-e-kufr hai. (Fatawa-e-Tatar Khaniya j 5 s 466) Is misre ko agar yun parh lein to she'r durust ho jaye ga: "Tum ko baroz-e-hashr jo puchhe ga Kibriya" (Kufriya kalmaat ke bare mein sawal jawab s 242 Maktaba-tul-Madina)