Nabi ki neend par usne namaz-e-asr qurban ki
Jo hazir kar chuka tha us se pehle jaan ka hadiya
Na kyonkar lauta us ke liye dooba hua suraj
Ke jab us chand ke pehlu mein ik suraj ka tha jalwa
Ta'ala Allah teri shaukat teri saulat ka kya kehna
Ke khutba parh raha hai aaj tak Khaibar ka har zarra
Musalmano Rasool-Allah ki ulfat agar chaho
Karo iski ghulami jis ka har momin hua banda
Ho Chishti Qadri ya Naqshbandi Suharwardi ho
Mila sab ko wilayat ka inhi ke haath se tukra
Hai sadqa-e-mail phir is pak suthre ko rawa kyon ho
Ke duniya kha rahi hai jis ki Aal-e-Pak ka sadqa
Ali Mushkil-Kusha hain sab ke Saalik ka sahara hain
Har ek mohtaj un ka ho jawan budha ho ya bacha