Shadaid-e-naz ke kaisay sahoon ga Ya Rasool Allah
Andheri qabr mein kaisay rahoon ga Ya Rasool Allah
Mujhe marna hai Aqa Gumbad-e-Khizra ke saaye mein
Watan mein mar gaya to kya karoon ga Ya Rasool Allah
Na chhootay jurm chhoot-tay hain na maaray nafs marta hai
Na jaanay naik aakhir kab banoon ga Ya Rasool Allah
Sada meethi nazar rakhna agar tum ho gaye naraz
Na hargiz mein kahin ka bhi rahoon ga Ya Rasool Allah
Andhera kaat khata hai akelay khauf aata hai
To tanha qabr mein kyunkar rahoon ga Ya Rasool Allah
Nakirain imtehan lene ko jab aayenge turbat mein
Jawabat un ko Aqa kaisay doon ga Ya Rasool Allah
Baraye naam dard-e-sar saha jata nahi mujh se
Azab-e-qabr kaisay sahoon ga Ya Rasool Allah
Yahan cheenti bhi tarpa de mujhe toh qabr ke andar
Main kyunkar dank bechon ga ya rasool Allah
Yahan mamooli garmi bhi sahi jaati nahi mujhse
Toh garmi-e-hashr ki kaise sahon ga ya rasool Allah
Zameen tapti hui khursheed bhi shola fishan hoga
Barhana-pa khara kaise rahon ga ya rasool Allah
Sar-e-mahshar bala ki dhoop hai aqa karam kar do
Main kya mehroom-e-kausar se rahon ga ya rasool Allah
Gunahon ke ghule daftar khara hoon aah! Meezan par
Nahi hain nekiyan ab kya karoon ga ya rasool Allah
Hai sar par baar-e-isyan pul-e-sirat ab paar ho kaise!
Sambhalo varna dozakh mein giron ga ya rasool Allah
Baroz-e-hashr gar chashm-e-karam mujh par na ki tum ne
Main ja kar kis ke daaman mein chhupoon ga ya rasool Allah
Main mujrim hoon jahannam mein agar phenka gaya mujhko
Halakat hogi haaye! Kya karoon ga ya rasool Allah
Lapak kar aag ke shole lipat te honge barbadi
Karam kar do yeh sab kaise sahon ga ya rasool Allah
Andheri aag hogi roshni bilkul nahi hogi
Karam kar do yeh sab kaise sahon ga ya rasool Allah
Wahan kaanon mein, aankhon mein, dahan mein, pait mein bhi aag!
Karam kar do yeh sab kaise sahon ga ya rasool Allah
Jabal-e-naar honge waadiyan bhi naar ki hongi
Karam kar do yeh sab kaise sahon ga ya rasool Allah
Farishte daant te honge hathore marte honge
Karam kar do yeh sab kaise sahon ga ya rasool Allah
Wahan saanp aur bichhoo bhi musalsal das rahe honge
Karam kar do yeh sab kaise sahon ga ya rasool Allah
Ghiza dozakh ki thohar aur oopar gholta paani
Karam kar do yeh sab kaise sahon ga ya rasool Allah
Na maange maut aayegi na behoshi hi chhayegi
Karam kar do yeh sab kaise sahon ga ya rasool Allah
Jo tum chaho ge toh hongi meri sab mushkilen aasaan
Magarna naar mein, main ja paroon ga ya rasool Allah
Tumhara hoon ghulam aur hai ghulami par mujhe toh naaz
Karam se saath jannat mein chaloon ga ya rasool Allah
Zabaan par hoga us dam ya rasool Allah ka naara
Baroz-e-hashr jis dam main uthoon ga ya rasool Allah
Gham-e-ummat mein rota dekh kar tumko sar-e-mahshar
Shah! Qaboo mein kaise dil rakhoon ga ya rasool Allah
Sunno ya mat sunno main toh pukare jaaoon ga tumko
Jahan mein jab talak aqa! Jeeyoon ga ya rasool Allah
Karam farma ke ho Attar bhi is qaul ka misdaq
Teri khatir jeeyoon ga aur maroon ga ya rasool Allah