Shah-e-Arsh-e-Aala Salam-un-Alaikum
Habib-e-Khudaya Salam-un-Alaikum
Mere Mah-e-Taiba Salam-un-Alaikum
Shahanshah-e-Batha Salam-un-Alaikum
Khabar jin ke aane ki thi muddaton se
Hua jalwa farma Salam-un-Alaikum
Jo tashreef laye woh Sultan-e-Aalam
To Kaaba pukara Salam-un-Alaikum
Do Aalam ka Aaqa-o-Maula bana kar
Tumhein Haq ne bheja Salam-un-Alaikum
Ye awaaz har samt se aa rahi hai
Shah-e-Deen-o-Dunya Salam-un-Alaikum
Tamanna hai apni Madine pahunch kar
Kahoon pesh-e-Rauza Salam-un-Alaikum
Dua hai ke jab waqt ho jaankani ka
Ho lab par wazifa Salam-un-Alaikum
Jameel apne Aaqa Shafee-e-Ummam par
Parhe ja hamesha Salam-un-Alaikum