Shah wala mujhe tayyaba bula lo
Tayyaba bula lo mujhe tayyaba bula lo
Dyodhi ka apni kutta bana lo
Qadmon se apne mujhe ko laga lo
Sadqay mein sadqay mein sadqay bula lo
Furqat ke maaray ko pyaaray jala lo
Pyaray jalalo mujhe pyaray jalalo
Mola jalalo mujhe aaqa jalalo
Dunya ke jhagron se yaksar chuda kar
Ghairon ki ulfat ko dil se mita kar
Shah wala mujhe apna bana lo
Apna bana lo mujhe apna bana lo
Nekon ke sadqay mein hum se badon ko
Zaar-o-nazaar-o-museebat zadon ko
Mola nibhalo meray mola nibhalo
Haan haan nibhalo meray mola nibhalo
Hote ho tum kyun mayoos-o-muztar
Kis waastay ho hairan-o-shashdar
Dukh dard walo suno dukh dard walo
Tayyaba se har ek apni dawa lo
Dar-ul-shifaye tayyaba mein aao
Jo mango foran munh mangi pao
Andoh-o-gham sab apne mita lo
Ranj-o-alam sab dil se nikalo
Aankhon mein aao dil mein samao
Parda uthao jalwa dikhao
Hasrat zada ki pyaray dua lo
Hasrat nikalo meri hasrat nikalo
Baad-e-mukhalif tez aa rahi hai
Kashti hamari chakra rahi hai
Manjdhaar mein hai mola bachalo
Pyaray bachalo mujhe shaha bachalo
Dolat hai naiya mori bhanwar mein
Mola tarao eke najar mein
Mori ghabriya moray piya lo
Mo ko bachalo piya mo ko bachalo
Taib hoon najdi aaib hoon najdi
Aur yeh na ho to khaib hoon najdi
Ghaib hoon najdi mola nikalo
Jaldi nikalo inhein jaldi nikalo
Yeh Noori muztar tera sanagar
Aur iska ghar bhar ho hazir dar
Apne gadagar ko dar par bula lo
Aman-o-amaan se hamein sarwar bula lo