Sharaf de Hajj ka mujhe mere Kibriya ya Rab!
Rawana suye Madina ho qafila ya Rab!
Dikhade ek jhalak sabz sabz gumbad ki
Bas un ke jalwon mein aajaye phir qaza ya Rab!
Madine jayain phir aayain dobara phir jayain
Isi mein umr guzar jaye ya Khuda ya Rab!
Mera ho Gumbad-e-Khizra ki thandi chhaon mein
Rasool-e-Pak ke qadmon mein khatma ya Rab!
B-waqt-e-naz'a salamat rahe mera imaan
Mujhe naseeb ho tauba hai iltija ya Rab!
Jo "Deen ka kaam" karein dil laga ke ya Allah
Unhein ho khwab mein deedar-e-Mustafa ya Rab!
Teri mohabbat utar jaye meri nas nas mein
Paye raza ho ata ishq-e-Mustafa Ya Rab
Zamane bhar mein macha den ge dhoom sunnat ki
Agar karam ne tere sath de diya Ya Rab
Namaz o roza o hajj o zakat ki tofeeq
Ata ho ummat-e-Mehboob ko sada Ya Rab
Jawab-e-qabr mein Munkar Nakeer ko doon ga
Tere karam se agar hosla mila Ya Rab
Baroz-e-hashr chalkta sa jaam-e-Kausar ka
Ba-dast-e-saqi-e-Kausar hamein pila Ya Rab
Baqee-e-pak mein Attar dafan ho jaye
Baraye Ghous o Raza az paye Ziya Ya Rab