Home/Muhammad Ilyas Attar Qadri/Shukriya Aap Ka Baghdad Bulaya Ya Ghaus

Shukriya Aap Ka Baghdad Bulaya Ya Ghaus

Written by Muhammad Ilyas Attar Qadri

100%
Shukriya aap ka Baghdad bulaya Ya Ghaus Mujh gunahgar ko mehman banaya Ya Ghaus Martaba yoon tera Khaliq ne barhaya Ya Ghaus Auliya ka tujhe Sultan banaya Ya Ghaus Yad-e-Taiba se basa deeje seena mera Arz yeh shehr-e-Karachi se hoon laya Ya Ghaus Main nikamma to kisi kaam ke qabil hi na tha Mujh se be-kaar ko tum ne hi nibhaya Ya Ghaus Qabil-e-rashk hai wallah woh qismat wala Tu ne sunta jisey apna hai banaya Ya Ghaus Qalb-e-murda ko bhi thokar se jala do murshid Bayaqeen tum ne to murdon ko jalaya Ya Ghaus Aafton mein hoon giraftar madad ko aao Aah! duniya ke ghamon ne hai sataya Ya Ghaus La takhaf hashar mein kehte huay aa jana tum Jaise duniya mein yeh irshad sunaya Ya Ghaus Tere daman se lipat kar main machal jaoon ga Mujh ko jis dam sar-e-mehshar nazar aaya Ya Ghaus Main jahannam mein na ab jaoon ga Insha Allah Rehnuma tum ko jo main ne hai banaya Ya Ghaus Shah-e-Baghdad! ho Attar pe nazar-e-rehmat! Khali kasa liye hai door se aaya Ya Ghaus