Home/Mufti Ahmad Yar Khan Naeemi/Soorat Mat Bhoolna Piya Hamari

Soorat Mat Bhoolna Piya Hamari

Written by Mufti Ahmad Yar Khan Naeemi

100%
Soorat mat bhoolna piya hamari Tumri hi ik aas hai hum tumre wari Pi nagri ki pehli manzil seekhein chhodi sathi Is ghonghat ki laaj hai ab tu piya tumhare hath Fan-e-Arooz ke aitbar se yeh misra ghair mauzoon hai aur tamam dastiab nuskho mein isi tarah hai. Wallahu A'lam bis-sawab. Akhirat ki pehli manzil qabr hai wahan hi sab ne sath chhod diya to aage kya kaam aayenge Aaqa in aibon ko tum hi chhapana. (Deewan-e-Salik ke nuskho mein is bait ke dono misray yun hain: Pi nagri ki pehli manzil seekhein chhodi sathi Is ghonghat ki laaj hai ab piya tumhare hath Fan-e-Arooz ke aitbar se yeh dono ghair mauzoon hain jis ki wajah yaqeenan kitabat ki ghalti hai, lehaza hum se jo sahi ho saki is ke mutabiq in dono misron ko oopar kalam mein likha gaya hai. -Al-Madina-tul-Ilmiya) Khel kood mein umr gawai sau kaaye din rain Jab pee ghar se aayi palkiyan tap tap tapkat nain Sees pe gathri dagar keiteli ghayal more paaon Pyare tum hi sambhaliyo jab dagmag mein ho jaon Tum kuch kar pa karo to Salik bura bhala ban jaaye Khota khara na dekhe Paras kun kundan sabhi banaye Tel jo nibre batti bujre diya mera badh jaaye Saanche suraj jot tumhari Salik pe pad jaaye