Home/Muhammad Ilyas Attar Qadri/Soya Hua Naseeb Jaga Deejiye Huzoor

Soya Hua Naseeb Jaga Deejiye Huzoor

Written by Muhammad Ilyas Attar Qadri

100%
Soya hua naseeb jaga deejiye Huzoor Meetha Madina mujh ko dikha deejiye Huzoor Ab "chal Madina" ka mujhe mardah sunaiye Rotey hue ko ab to hansa deejiye Huzoor Phir sabz gumbad aur wo minar ki bahar Ghous o Raza ka sadqa dikha deejiye Huzoor Maskeen hoon, ghareeb hoon palley nahi hai kuch Kharcha safar ka deejiye na deejiye Huzoor Arafat aur Muzdalifah aur Mina chaloon Hajj karloon haq se izn dila deejiye Huzoor Khulafa-e-Rashideen ke sadqey mein ya Nabi! Khwabon mein apna jalwa dikha deejiye Huzoor Sail gham-e-Madina ka hoon Shah-e-Bahr o Bar Mujh ko gham-e-Madina Sheha deejiye Huzoor Ahmad Raza ka wasta ulfat ka saqiya Mujh ko chhalkata jaam pila deejiye Huzoor Har waqt soz-e-ishq mein tarpa karoon Sheha Aag aisi mere dil mein laga deejiye Huzoor Zehra ke ladlon ka waseela main laya hoon Pur-sooda dil ko mere khila deejiye Huzoor Sadqa Shaheed-e-Karbala ka Shah-e-Anbiya Deewana Madina bana deejiye Huzoor Ya Mustafa main ulfat-e-dunya mein phans gaya Is qaid se khudara chura deejiye Huzoor Pur-khar wadiyon mein bhatak main reh gaya Bhooley hue ko raah dikha deejiye Huzoor Tauba nibah mein nahi pata hoon ya Nabi! Ab istiqamat aap Sheha deejiye Huzoor Dar lag raha hai aah! Jahannam ki aag se Bakhshish ka mujh ko mardah suna deejiye Huzoor "Qufl-e-Madina" deejiye Murshid ka wasta Khamosh rehna mujh ko sikha deejiye Huzoor Attar bad-khisal ka isyan-e-shiar ka Dil-e-murda ho chuka hai jala deejiye Huzoor Ya Rasool Allah! Tere chahne walon ki khair Sab ghulamon ka bhala ho sab karein Taiba ki sair Kaashke hijr-e-Madina mujh ko rakhe be-qarar Chain hi aaye na mujh ko yaad-e-Taiba ke baghair Ya Nabi ab to Madine mein mujhe bulwaiye Hu muyassar ba-adab phir aap ki galiyon ki sair Kaash! Taiba mein shahadat ka ata ho jaye jaam Jalwa-e-Mehboob mein anjam mera ho bakhair Faltu baaton ki aadat door ho jaye Huzoor! Ho zaban par meri aksar aap hi ka zikr-e-khair Aa-id Aqa fard-e-isyan ho gayi kar de karam Kaun hai jo bakhshwaye ga mujhe tere baghair Tez hai talwar ki bhi dhaar se ye Pul-e-Sirat Tum sambhala do kahin phisal mera na pair Ummat-e-Mehboob ka ya Rabb bana de khair-khwah Nafs ki khatir kisi dil mein mere ho na bair Jaam aisa apni ulfat ka pila de Saqiya Naat sun kar halat-e-Attar ho ro ro ke ghair