Sunnat ki bahaar aayi Faizan-e-Madina mein
Rahmat ki ghata chhayi Faizan-e-Madina mein
Is shehar ke aaye hain bahar se bhi aaye hain
Sarkar ke shaidayi Faizan-e-Madina mein
Daarhi hai amame hain zulfon ki baharein hain
Shaitan ko sharm aayi Faizan-e-Madina mein
Lamhat-e-Musarrat hain deewane bade khush hain
Kyun jhoome na har bhai Faizan-e-Madina mein
Sunnat ki bahaaron ka kuch aisa sama chhaya
Fashion ko haya aayi Faizan-e-Madina mein
Ulfat ke ukhuwwat ke kya khoob manazir hain
Goya hain sage bhai Faizan-e-Madina mein
Woh log hi aate hain aur faiz uthate hain
Taqdeer jinhein layi Faizan-e-Madina mein
Apne hon ya begane yun milte hain deewane
Jaise ho shanasayi Faizan-e-Madina mein
Dard apne dilon mein jo Islam ka rakhte hain
Hai un ki pazeerayi Faizan-e-Madina mein
Allah karam kar de tu bakhsh de un sab ko
Maujood hain jo bhai Faizan-e-Madina mein
Sunnat ka liye jazba aaye jo yahan us ki
Hai hosla afzayi Faizan-e-Madina mein
Iblees-e-La'een sun le ab khair nahi teri
Shamat teri aayi Faizan-e-Madina mein
Faizan-e-Madina mein Faizan-e-Madina hai
Faizan hai Aaqa Faizan-e-Madina mein
Faizan-e-Madina hi hai Dawat-e-Islami
Faizan hai Maulai Faizan-e-Madina mein
Maqbool jahan bhar mein ho Dawat-e-Islami
Har lab pe dua aayi Faizan-e-Madina mein
Aqa ho karam sab par bulwaye Madine
Aaye hain tamannayi Faizan-e-Madina mein
Sarkar ata kar do gham sab ko Madine ka
Jitne hain yahan bhai Faizan-e-Madina mein
Qismat ka sikandar hai zoron pe muqaddar hai
Jis ne bhi jagah payi Faizan-e-Madina mein
Aaj Aqa ke deewane kya mast hain mastane
Attar hai Eid aayi Faizan-e-Madina mein