Saqi kuch apne bada-kashon ki khabar bhi hai
Ham bekasoon ke haal pe tujh ko nazar bhi hai
Josh-e-atash bhi shiddat-e-soz-e-jigar bhi hai
Kuch talkh kamiyon mein kuch dard-e-sar bhi hai
Aisa ata ho jaam-e-sharab-e-zuhur ka
Jis ke khumar mein bhi maza ho surur ka
Ab der kya hai bada-e-irfan qawam de
Thandak pade kaleja mein jis se woh jaam de
Taaza ho ruh pyaas mujhe lutf-e-taam de
Yeh tishna kaam tujh ko duayein mudam de
Uthein surur aaein maze jhoom jhoom kar
Ho jaaun be-khabar lab-e-saghar ko choom kar
Har har gali hai mashriq-e-khursheed-e-noor se
Lipti hai har nigah tajalli-e-toor se
Rohat hai sab ke munh pe dilon ke suroor se
Murday hain be-qarar hijab-e-quboor se
Mah-e-Arab ke jalway jo oonchay nikal gaye
Khursheed o mahtab muqabil se tal gaye
Har samt se bahar-e-nawa khwaniyon mein hai
Naisan-e-jood-e-rab gohar afshaniyon mein hai
Chashm-e-kaleem jalway ke qurbaniyon mein hai
Ghul aamad-e-hazoor ka roohaniyon mein hai
Ik dhoom hai habib ko mehmaan bulate hain
Behr-e-buraq khuld ko Jibreel jatay hain