Naqsha navees-e-Barelvi
Madhat-e-Sarwar-e-Deen mere muhib ne likhi
Bil-yaqeen gulshan-e-Firdous ki hogi yeh sabeel
Wah wah keh ke Raza ne yeh likha tab' ka san
Chaman-e-Na'at ka guldasta hai Deewan-e-Jamil
1332 AH 1321 AH
Ayzan
Yeh guldasta-e-Na'at kaisa chapa hai
Ke khushboo se jis ki mu'attar zamin hai
Sana-e-Nabi madhat-e-Ghaus-e-Azam
Kahin hai gulab aur kahin yasman hai