Shukr-e-Khudaye buzurg-o-bartar
Aaj muradein dil ki aaein
Ghunche chehke gulshan mehke
Sar pe ghataein noor ki chhaein
Khoob kalam chupa na'tiya
Ho maqbool khudaya aaein
Is ka sila ustad-e-mukarram
Paein ba-haqq-e-Taha Yaseen
Tab' ka san barjasta likh de
Ahmad Razvi Shams maza'in
1321 AH