Na kyonkar Madine pe Makka ho qurban
Ke hain jalwa-gar us mein Mehboob-e-Yazdan
Baraste hain har waqt anwar-e-Subhan
Hai har ek goshah wahan ka gulistan
Ajab dil-kusha hain Madine ki galiyan
Muattar hain yun jaise phoolon ki kaliyan
Sar-e-Toor par the jo jalwe numayan
Hain anwar woh hi yahan par darakhshan
Janab-e-Kaleem aa ke dekhein agar yaan
Kahein ghash mein aa kar ke Ya Rabb teri shaan
Ajab dil-kusha hain Madine ki galiyan
Muattar hain yun jaise phoolon ki kaliyan