Mujhe de de imaan par istiqamat, paye Sayyid-e-Muhtasham Ya Ilahi
Maray sar pe isyan ka baar-e-aah Maula! barha jata hai dam-ba-dam Ya Ilahi
Zameen bojh se mere phatti nahin hai, yeh tera hi to hai karam Ya Ilahi
Huquq-ul-Ibaad! aah! hoga mera kya! karam mujh pe kar de karam Ya Ilahi
Bari koshishein ki gunah chornay ki, rahay aah! nakam hum Ya Ilahi
Mujhe sachi taubah ki taufiq de de, paye Tajdar-e-Haram Ya Ilahi
Jo naraz tu ho gaya to kahin ka, rahoon ga na teri qasam Ya Ilahi
Mujhe naar-e-dozakh se dar lag raha hai, ho mujh natwan par karam Ya Ilahi
Sada keliye ho ja raazi Khudaya, hamesha ho lutf-o-karam Ya Ilahi
Khudaya buray khatmay se bachana, parhoon kalma jab niklay dam Ya Ilahi
Gunahon se bhar poor nama hai mera, mujhe baksh de kar karam Ya Ilahi
Talain mere aamal-e-mizan pe jis dam, paray ek bhi neki na kam Ya Ilahi
Main tha layak-e-naar-e-dozakh Khudaya, di jannat hai kitna karam Ya Ilahi