Aisa koi mehram nahi pohanchaye jo paigham-e-gham
Tu hi karam kar de tujhe Shah-e-Madina ki qasam
Ho jab kabhi tera guzar baad-e-saba su-e-haram
Pohncha meri tasleem us ja hain jahan khair-ul-umam
In nilti ya reeh-as-saba youman ila ardh-il-haram
Balligh salami rawdatan feeha nabiyul muhtasham
Main doon tujhe un ka pata gar na tu pehchane saba
Haq ne unhi ke waaste paida kiye arz-o-sama
Rukhsar-e-suraj ki tarah hai chehra un ka chand sa
Hai zaat-e-alam ki pana aur haath darya jood ka
Man wajhuhu shamsud duha man khadduhu badrud duja
Man zaatuhu noorul huda man kaffuhu bahrul himam
Haq ne unhein rehmat kaha aur shafi-e-asiyan kiya
Rutba mein woh sab se siwa hain khatm un se ambiya
Sab awwaleen-o-aakhireen taaray hain tum mehr-e-mubeen
Yeh jagmagaye raat bhar chamkay jo tum koi nahi
Akbadana majroohatun min saifi hajril mustafa
Tooba li ahli baldatin feehan nabiyul muhtasham
Ae do jahan par reham-e-haq tum ho shafee-ul-mujrimeen
Hai aap hi ka aasra jab bolein nafsi mursaleen
Is be-kasi ke waqt mein jab koi bhi apna nahi
Hum be-kason par ho nazar ae Rahmatul-lil-aalameen
Ya Rahmatal-lil-aalameen anta shafee-ul-muznibeen
Akrim lana yaumal hazeen fazlan wa joodan wa al-karam
Is Saalik-e-badkar ka go hashr mein koi nahi
Lekin usay kya khauf ho jab aap hain is ke mueen
Mujrim hoon mein ghaffar Rab aur tum shafee-ul-muznibeen
Phir kyun kahoon be-kas hoon ya Rahmatul-lil-aalameen
Ya Rahmatal-lil-aalameen adrik lizainil aabideen
Mahboosu aydiz zalimeen fee markabin wal muzdaham