Tera shukriya Tajdar-e-Madina mujhe phir dikhaya dayar-e-Madina
Haseen patta patta haseen daali daali haseen sab ka sab lala zar-e-Madina
Khuda! dil se duniya ki ulfat mita de tu de ulfat-e-Tajdar-e-Madina
Bhula de chaman ke nazaron ko beshak hai aisa haseen regzar-e-Madina
Main Rizwan-e-Jannat ko tohfe mein dunga ata kijiye chand khar-e-Madina
Madine mein ghar sab ke ghamkhar ka hai jabhi to sabhi hain nisar-e-Madina
Tujhe wasta ya Khuda Mustafa ka bana de mujhe dil figar-e-Madina
Agar ho yaqeen zakhm bhar jayenge sab laga lo zara sa ghubar-e-Madina
Tadapte hain jo hijr-o-furqat mein Aqa dikha do unhein bhi bahar-e-Madina
Idhar se udhar kyon bhatakta phirun main muqaddar se hoon reza khwar-e-Madina
Madine mein marne ka mujh ko sharaf do karam ya Nabi Tajdar-e-Madina
Do Attar ko ashkbar ankh Aqa paye Ghous-e-Shah-e-Yar-e-Madina