Tere dar se hai mangton ka guzara ya shah-e-Baghdad
Yeh sun kar main ne bhi daman pasara ya shah-e-Baghdad
Meri qismat ka chamka do sitara ya shah-e-Baghdad
Dikha do apna chehra pyara pyara ya shah-e-Baghdad
Ijazat do ke main Baghdad hazir ho ke phir karlun
Tumhare neele gumbad ka nazara ya shah-e-Baghdad
Gham-e-Shah-e-Madina mujh ko tum aisa ata kar do
Jigar tukre ho dil bhi para para ya shah-e-Baghdad
Madine ka bana do tum mujhe kuch aisa deewana
Phirun diwangi mein mara mara ya shah-e-Baghdad
Khuda ke khauf se roye Nabi ke ishq mein roye
Ata kar do woh chashm-e-tar khudara ya shah-e-Baghdad
Gunahon ke marz ne kar diya hai neem jaan mujh ko
Tumhein aa ke karo ab koi chara ya shah-e-Baghdad
Mujhe acha bana do murshidi be-shak yaqeenan hain
Mere halaat tum par aashkara ya shah-e-Baghdad
Sudharo murshidi lillah apne dheet bande ko
Na jaane tum ne kitnon ko sudhara ya shah-e-Baghdad
Hui jaati hai ujar ab meri umeed ki kheti
Bharn barsa do rehmat ki khudara ya shah-e-Baghdad
Karam Meeran abr se ujre gulistan mein bahar aaye
Khizan ka rukh phira do ab khudara ya shah-e-Baghdad
Shah! Khairaat lene ko salateen-e-zamana ne
Tere darbar mein daman pasara ya shah-e-Baghdad
Garajte badlon ka shor chalti aandhiyon ka zor
Larzta hai kaleja do sahara ya shah-e-Baghdad
Bachalo dushmanon ke waar se ya Ghous-e-Jilani
Badi umeed se tum ko pukara ya shah-e-Baghdad
Wasila chaar yaron ka khuda se bakhshwa dije
Karam farmayiye mujh par khudara ya shah-e-Baghdad
Agarcha lakh paapi hai magar Attar kis ka hai?
Tumhara hai tumhara hai tumhara ya shah-e-Baghdad